Technology

computer ya laptop main Screenshots kaise lete hai?

Written by yashdeep

To ye sabse bada question hai ki aap apne computer ya laptop screenshots kaise le to mere pass iska badhiya solution hai aapke pass khud laptop ya apne computer main ek software by default aata hai jiska name hai Snipping Tool.

To aap kese is software ko apne Pc mein dhundh sakte hai kuch is tarah se:

First Method:

1: Sabse phele WindowsKey press kijye uske baad Search kijye Snipping Tool aapko ek software dikhay dega jisme kechi jesa symbol hoga ab us software ko open kijye.2:Ab new pe click kare aur ek aapko jitne part ka screen mein se screenshot lena hai us part ko select kare

Fir save Snip karke Option aayega vaha click kare or image ko apne man chahe folder mein save kare save karte samay ye dhyaan mein rakhe ki agar aapko Png rakhna hai to vo rakhe ya to fir .jpeg kar de vese to .png accha hai vo rakhe to sabse badhiya hai.

snipping tool ke bare mein vese to bahut kam log jante hai ki vo by default windows 7 se windows 8 aur windows 10 mein aata hai.

Second Method:

Dusri bhi method hai per usme full screenshot lena padta hai ek baar vo bhi dekh lijye

1: prt sc likha huva button hoga laptop mein vo click kare

2: Fir turant Control + C click kare uske baad paint open kare

3: paint mein jake fir Control + V click kare  ab jo image paint mein dekh rahe hai vo aapke pc ka screenshot hai jab aapne prt sc click kiya tha tab ka hai

4: Final step ab us paint file ko save kare apne man pasand format mein

To dosto aapko aaj mene 2 behtarin tarike bataye hai computer ya laptop mein screenshot lene ke agar aapko hamari ye jankari pasand aati hai to apne dosto sathe jarur share kare taki vo bhi jaan sake.

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

3 Comments

Leave a Comment