Blogging Wordpress

WordPress par free Blog kaise banaye step by step Guide

Written by yashdeep

WordPress par blog banana Blogger mein blog banane jesa hi hai par aapko iske liye Hosting ki jarurat Hoti hai par mein aaj aapko ye bataunga ki Aap kese free mein wordpress.com ke sath blog bana sakte hai bilkul free. Ab aapko hamara ye article pura padhna hoga taki aap free mein wordpress pe blog bana sakte hai.

WordPress Mien Kyu blog banana Chaiye?

Aakhir wordpress aur Blogger dono mein blog bana sakte hai to wordpress mein kyu blog banana chaiye aur her koy wordpress hi kyu istemaal karta hai to iska sidha javab hai ki wordpress mein blogger se jyada features hai aur blogger se kafi aasan hai. Agar aapke pass sahi plugin hai wordpress mein to aap apne webiste mein aasani se acche features add kar sakte hai. Non technical person bhi sirf kuch din mein wordpress sikh sakta hai.

WordPress ke Liye Hosting kaha se lena chahiye?

Hosting yani ki vo jagah jaha aap apni website ka data rakh sakte hai. Yani ke bilkul aapki phone ki tarah jis mein Ram hoti hai harddisk hoti hai. Aapko aapki website ki size k anusar space aur Ram lena chahiye taki aap apne Traffic ko handle kar sake. Mein aapko suggest karta hu Ki aap Hostgator par shared Hosting se Start kar sakte hai agar aap naye blogger hai to. Humne review bhi diya hai Hostgator ke shared hosting ka to aap vo bhi padh sakte hai.

WordPress par Free blog kaise banate hai?

WordPress par Blog banane ke liye aapko Hosting lena padta hai par aap .wordpress.com se Blog bana ke free mein apna blog start kar sakte hai. Par uss mein thodi si limitation hoti hai jisse aap apne hisab se theme set nahi kar pate aur bahut kam features milte hai aapko.

Agar aap apna First Blog bana rahe hai to Free mein hi banaye aur aapke blog mein visitors aane lagte hai to aap apne blog ko move kar sakte hai Paid Hosting leke.

Yaha mein aapko step by step batunga ki aap kese apna Free blog bana sakte hai. Agar aap paisa kama ne k liya kar rahe hai to aapko Hosting lena chahiye.

Step 1:

sabse phele aapko WordPress.com par jana hoga

Aap ko Get started par click karna hai uske baad dusra step kijye

Step 2:

Is step mein aapko Start with a Blog karna hai jese hi aap is pe click karte hai aap agle step mein chale jayenge the apply kare hamara step 3.

Step 3:

Yaha pe aapke same themes ke option aayenge aapko vaha se apni pasand ki theme select karni hogi. Aap jo bhi theme select karte hai vo aapke blog k liye set ho jayengi baad mein aap usko change bhi kar sakte hai.

Step 4:

Aapko ab apne Blog ke liye Domain sochna hoga aur usko type karna hoga agar vo available hoga to aapko wordpress vale dikhayenge.

Jab aapko apna domain name Mil jata hai tab aapko .wordpress.com vala select kare aur aap dekh sakte hai ki ye domain free mein mil raha hai aapko ab us free domain ko select kare.

Step 5:

Ab bari aati hai aap konsa plan select karna chahte hai aapke wordpress ke blog k liye yaha pe hum free vala plan select karte hai aur start with free par click karenge.

Step 6:

  1. Phele aap apna Email Address dale jis par aapko wordpress ka blog banana hai.
  2. Apna username select kare.
  3. Acha sa strong password rakhe.
  4. Fir last mein aapko create my account par click karna hai.

To lijye aapka Blog wordpress par ab ban gaya hai aap apne diye gaye email par jayia aur verify kar dijye baad mein apne wordpress ke dashboard mein apni pheli post likh sakte hai aur usko cutomize bhi kar sakte hai.

Muje aasha hai ki aapko mera ye article pasand aaya hoga aur aap iski madad se WordPress par free mein blog bana sake. Agar aapko ko koy bhi problem ho to comment kar dijye aur apne dosto ke sath bhi share kijye.

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

27 Comments

Leave a Comment