Aap sabhi dekhte honge her blog mein ki vaha pe likha hota hai ki Join our free newsletter. To usko widget hona kitna important hai aapki website ke liye aur kya kar sakte hai aap email marketing se.
Pheli baat aap us widget ko kese la sakte hai aapke blog mein aur konsa plugin hai jo aap use kar sakte hai vo janna aapke liye bahut jaruri hai. Mein meri website mein MailPoet karke plugin hai vo use kar raha hu vo kafi accha hai aur usse kafi profit bhi hota hai website mein.
Aap apne blog mein ye plugin install kar ley aur fir apne blog ke right sidebar mein iska istemaal kare. To ye to baat ho gayi plugin ki ab aate hai Email Marketing ke topic pe to aakhir Kyu jaruri hai or iska fayda kya hai?
- Onhindi.in ka review HostGatoe ke shared Hosting plan ke Liye
- Naye Blogger ke liye Top 8 Best aur Basic SEO Tips
Email Marketing ke fayde:
Low-Cost
Ek baat jo sabse jyada gor karne vali hai ki vo low cost hai dusri marketing company ki tulna main.yaha pe koy fee nahi lagti hai aapko. Bas aapko sirf ek sahi plugin or software ki talash hoti hai Email marketing karne main. Badhiya software ke sath aap ek sath hazaro email kar sakte hai aur apne blog ko promote kar sakte hai.
Target fans Ko mail kijye
Aap sirf target fans ko hi mail karte hai aur vo log vahi hote hai jisne aapke blog ke newsletter ko subscribe kiya hai. Jab bhi aap mail karte hai to vo aapke mail ko jarur padhte hai aur aapke naye post ki jankari bhi aap automatic bhej sakte hai agar vo set kiya hai to. Agar aapko moka mil raha hai email id purchased karne ka to aap apne blog ke anusar target audience ke mail id ley kar une apni list mein add karke use mail kar sakte hai. Is audience se aapko accha result dekhne ko bhi mil sakta hai.
Aasani se Create kar sakte hai
Aap ye list aasani se create kar sakte hai yani ke aapko isse mein kuch karna to nahi hota hai aapko sirf ye dhyaan mein rakhna hota hai ki aap irritate to nahi kar rahe hai mail karke apne subscribers ko aapko ek schedule bana lena chahiye. Fir schedule ke anusar aap mail kijye.
Easy se track Hota hai
Aap ye bhi Track kar sakte hai kis ne mail open kiya hai aur kisne us mein diye gaye link ko open kiya hai ye feature muje bahut pasand aata hai. Koy agar aapko unsubscribe karta hai to uske bare mein bhi pata chalta hai aur aap email notification se bhi jan sakte hai.
Easy se Share kar Sakte hai
Agar apne Blog mein koy badlav kiya hai aap koy Give away karna chahte hai ya fir koy bhi baat share karna chahte hai to aap badi aasani se apne sare subscribers ko mail through sab share kar sakte hai vo bhi single click mein.
Global Marketing
Ye word ka bada mahtva hai aap Iske jariye Globally marketing kar sakte hai aapko kahi pe jani ki koy jarurat nahi hai aap ghar mein bethe hi puri duniya mein sirf single click se marketing kar sakte hai. Ye sabse badi baat hai. India digital ho raha hai aur aapne bhi thoda jan liya hai is email marketing ke bare mein yani ke digital marketing ke bare mein to aap kiska intejar kar rahe hai.
Turant Result milega
Iska result aapko aane vale 24 hours mein hi dekhne ko milega yani ke aapko 24 hours mein hi profit hoga to ye sabse fast marketing ka tarika hai mere khyal se itna fast result aur kisi marketing mein nahi hai.
meri ray hai aapne abhi tak apne blog mein ye add nahi kiya hai to kar dijye iske kayi fayde hai Aur aap iske madad se bahut kuch kar sakte hai.agar aapko hamari ye jankari pasand aati hai to apne dosto ke sath share kare aur koy problem ho to niche comment kar dijye.
Hi, Very good article
Thanks for sharing, keep up the good work
Hum aur bhi naye article late rahenge
very useful information Yashdeep. Email marketing is very useful for blogging.
Thanks bhai
Hello
Such a great and informative article
Thanks Rohan ji
Hi Yashdeep
i have seen your video on YouTube u r genuine & Your website is very useful for me of course all startup people too.
Thanks sapna ji
Hn email bhi khub chyaa hua h