Aaj aesha din hai ki Oneplus ko kon nahi janata hai. 4 saal phele ye company ko koy nahi janta tha aur aaj dekhiye sabhi log jante hai is company ko khas baat to ye hai ki OnePlus ke phones ko apple ke iphone ke sath tulna kar rahe hai log.To ab jante hai oppo to oneplus ka safar aus us insan ke bare jisne sirf char saal mein apple ko takkar de raha hai sirf apne jid aur Junun se.
Oppo to OnePlus ka safar – Pete Lau
Aayiye jante hai Pete Lau ke bare mein
pete Lau ka janam 5 may 1975 ko china ke Hanchuan mein huva tha filhal vo Shenzhen, Guangdong, China jagah pe rah rahe hai.Pete Lau Oneplus ke founder hai aur CEO bhi hai.
Pete lau phele Oppo ke Electronics Blueray division mein ek hardware engineer ki job kar rahe the.Uske baad vo marketing head bane aur uske baad wise president bane thodo samay kaam kiya.Oppo se pete lau ne november 2013 mein hi istifa de diya tha.
Ye job ko chod ke sirf ek mahine baad hi unhone soch liya tha yani ke december 2013 mein hi khud ki company suru ki thi jiskaname OnePlus rakha tha.
us samay company mein sirf 6 log hi kaam karte the.Pete lau ne shuruat se hi socha tha ki vo kam budget mein sasta aur badhiya phone apne customer ko denge.starting mein manufacturing ki suvidha nahi thi to vo oppo se hi phone manufacture karvate the.
2014 mein OnePlus 1 phone ki goshna hui aur phone online bikne start huye aur logo ne bhi bahut pasand kiya us phone ko.uska phele phone oneplus 1 16GB aur 64Gb variant mein mil raha tha.
is phone ke baad Pete lau ko kabhi bhi piche mud ke dekhana nahi pada aur company ne 4 aur phone nikale abhi haal mein OnePlus 5 naya phone hai jiski comparison apple ke iphone 7 plus se ho rahi hai.
Agar dosto aapko hamari ye technology ki Motivational type story pasand aati hai apne doto ke sath jarur share kare.
Hello Yashdeep
Such a amazing and motivating article
Thanks for sharing
Thanks rohan ji
amazing info bro
Wowww mst
Amazing information waw.
This site is very useful site .