Seo Technology

Simple aur aasan seo tools jo aapeke blog ko aage le jayega

Written by yashdeep

Aaj mein aapke sath kuch simple aur free seo tools ke bare mein baat karne vala hu jo aapke blog ko aage le jane mein kafi help karega. kuch to aap jante honge per kuch na bhi jante ho aap. Seo ki importance bahut hoti hai naye Blogger ko.

Google PageSpeed Insights

Aap check kar sakte hai aapke website ki speed ko multiple devices mein.

Enter kare blog ka URL aur ye tool thodo time lega aur check karke dega website ka performance desktop aur mobile ke ke liye aapke website ka aur koy sujav hoga to vo bhi dega ye tool. user experience score bhi dega ki visitor ko kesa experience milta hai aapki webite ko visit karne ke baad

Ye bhi use kar sakte hai: PingdomWebPageTest, and GTmetrix

Keywordtool.io

700+ keyword ideas sirf aapke single word se

Enter kare ek single keyword aur ye tool aapko long-tail keyword opportunities dega vo bhi acche se alphabetically.

Ye bhi use kar sakte hai:  Übersuggest

Google Analytics

pura web stats Aur search insights

Aap apne traffic ko acche se samaj sakte hai aur ye bhi dekh sakte hai ki konse keyword ka use karke traffic aata hai aapke page mein.

Ye bhi use kar sakte hai: Piwik

Google Webmaster Tools + Bing Webmaster Tools

 website analysis, alerts Aur error reports deta hai

Ye dono webmaster tools aapko dono bade search engine kesa sochte hai aapki website ke bare mein ye dekhate hai yani ke kitni link indexed hai error konse link se aa rahi hai vo sab dekhate hai.

Ek salah: Ye dono tools ko install karna aasan ho jayega aapki website mein agar aap wordpress use kar rahe hai aur aap ne plugin jese ki  Jetpack Aur Yoast seo dala ho to.

Google Keyword Planner

Ye jane ki Log kya search kar rahe hai

Sirf Enter kare ek keyword or pura sentence aur ye Google ka tool aapko jankari dega aur keyword strategy bana dega vo bhi monthly search volume, competition aur vo bhi jankari dega jo aap jante nahi hai.

Google Trends

Ab kya trends mein search Ho raha hai

Ye seo Tool aapko jankari dega ki abhi kya trend mein search ho raha hai taki aap vo keyword ka use karke koy content bana sakte hai aur aap bhi sayad se trend mein aa jaye.

QuickSprout Website Analyzer

Full analysis karke dega aapki website ka

The QuickSprout tool does a comprehensive look at just about everything:

QuickSprout tool aapko sab bata dega jese ki SEO optimization, speed, tags, keywords, social, links, aur aapke competitor comparisons ke bare mein bhi.

Schema Creator

Aapki website ka search result aap khud customize kare

Aap khud apni website ka search result customize kar sakte hai yani ke google mein search result mein kesa dekhega. Agar aapne kisi chez ka review diya hoga to us mein review rating star dekha sakte hai aur aapne schema code create kar diya hai to sirf use apne website mein pate kar dijye aur easy implementation ke liye aap wordpress ka ye plugin bhi istemaal kar sakte hai.

SimilarWeb

Dekhe site stats kisi bhi domain ke liye

Is tool ke istemaal se aap Do website ke traffic ko compare kar sakte hai aap apne competitor per aasani ye compare kar sakte hai.

SERPs Rank Checker

Aapki site ka rank check kare keyword se

Aapko site ka keyword ya dusra koy bhi key word use karke pura result dekh sakte hai us keyword ke aapki site mein kesa performance hai.

XML Sitemaps

Sitemap banaye

Simply aapke webite ka url insert kar aur aapke website sitemap bane ke dega ye tool aapko baad mein aap is site map ko Google webmaster tools mein submit kar de fir dekhiye kitna profit hota hai.

SEO Site Checkup

Audit lega fir score deaga aapki website ka

Site ka Audit lega upper upper se aur check karega Proper tags aur errors hai ki nahi hai.

Searchmetrics Website Analyzer

Performance dashboard Dega search Aur social rankings ka 

Ye free vala version aapko report dega ki aapki website social media mein kese rank hai aur konse social media me jyada aage hai.

Find Broken Links

Errors ko Khojega aapki site mein

Aapko pura report dega ki aur numbers ke sath dekhayega ki link insights, internal aur external links konsi fixed karni hai uski jankari dega.

Ahrefs’ Site Explorer and Backlink Checker

Pura overview dega aapki website, pages, Aur links ka

Free sampling Ahrefd aapki website ka referring pages and inbound links ko check karga backlinks ke baree mein bhi jankari dega.

Copyscape

Check karega duplicate content

Enter kare aapke blog ya website ka URL aur copyscape name ke anusar aapko ye batayega ki aapki website ka mozuda content online available hai ki nahi hai taki aap vo copy content ko hata kar naya content add kar sake.

Structured Data Testing Tool

Structured data tool aapko help karega aur aapko provide karga information aapke page ke bare mein. Is tool ke istemaal se aap live data validate kar sakte hai structured data kisi bhi web page ke liye.

Microsoft Free SEO Toolkit

Microsoft SEO Toolkit mein bahut alag alag tools ek mein hi de raha hai jisse aap anapyze kar sakte hai aapki website ka aur ye jankari dega ki aap kese aap apni website ko SEO-friendly rakh sakte hai. Per ye sirf windows ke liye hai to apple vale user ko nahi milega ye.

To aaj humne aapko ye sare free seo tools ke bare mein bataya hai asha hi ki aap apne website ya blog ko is tools ki madad se aage ley jaye. Agar aapko hamari ye jankari pasand aati hai to apne dosto ke sath jarur share kare. Koy query ho to comment mein likh de.

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

11 Comments

Leave a Comment