Health

Soft Drink chodiye aur bacho ko pilaye ye 10 healthy Drinks

Written by yashdeep

Bacho ka Bhavisyaa ujjval karne ke liye sirf Unki ki padhayi pe dhyaan dena jaruri nahi hai unke khane pine pe bhi dhyaan dena chahiye.Unke khane pine se hi unka brain develop hota hai.iseliye Unke health ke liye healthy drinks bhi bahut jaruri hai.In drinks ki madad se unko jaruri nutrition aur anya posak tatva bhi milte hai.aaj hum aapko aeshe 10 health drinks ke bare mein bata rahe hai jinse unko padhay mein bhi help hogi aur unko padh ne mein man rahega.sath sath health bhi acchi hogi unki.

Baccho ke liye Health Drinks:

1: Anar ka Juice is juice mein antioxidants hota hai jisse bacho ka dimag tej hota hai.

2: Elovera Juice is mein Vitamin B6 hota hai uski madad se yaadast badhti hai.

3:nariyel Pani is health drink mein Electrodes ki sankhya jyada hoti to isse blood circulation accha hota hai body mein.

4: Badam shake is mein protein hota hai jisse dimag tej hota hai.

5: Tamater Ka juice jismein Antioxidants aur laikopin hota hai auki vajah se brain sharp hota hai aur IQ badhta hai.

6: Apple ka juice jiski vajah se brain ekdam sharp hota hai.

7: Santre ka Juice se dimag ki activity badhti hai.

8: Chukundar ka ras ismein bhi Antioxidants hota hai jisse blood circulation hota hai aur dimag bhi tej hota hai.

9: Green Tea ki vajah se Mind sharp hota hai.

10: Dark chocolate shake se Blood circulation bhi accha hota hai aur sochne ki shamta mein bhi vikas hota hai.

Agar dosto aapko hamari ye jankari pasand aati hai to apne dosto ke sath jarur share kare.

About the author

yashdeep

Mein Ek Hindi Blogger hu aur Muje Hindi mein likhna bahut pasand hai.
Hindi mein likh ne ka sirf ek hi karan hai ki Sabhi Hindustani aur jo hindi jante hai vo mere Blog ko aasani se padh sake.

2 Comments

  • आपके बताए हुए सभी ड्रिंक्स बहुत ही हेल्दी हैं। मुझे आपकी यह पोस्ट बहुत पसंद आई। ऐसे ही लिखते रहिए।

Leave a Comment